shikwa hum tujhse bhala tez hawa kya karte
shikva ham tujh se bhalā tez havā kyā karte
ghar to apne hī charāġhoñ se jalā kyā karte
tum to pahle hī vafāoñ se gurezāñ the bahut
tum se ham tark-e-ta.alluq kā gila kyā karte
gul meñ rañgat thī nazāroñ meñ javānī tujh se
ham tire baad bahāroñ kā bhalā kyā karte
tujh se dil meñ jo gila thā vo na laa.e lab par
phir se ham bhar ga.e zaḳhmoñ ko harā kyā karte
ham to kar dete gila tujh se na aane kā tire
ghoñT detī thī par ummīd galā kyā karte
jis kī ulfat meñ har ik chiiz luTā dī 'fayyāz'
ham ko samjhā ga.e ādāb-e-vafā kyā karte
shikwa hum tujh se bhala tez hawa kya karte
ghar to apne hi charaghon se jala kya karte
tum to pahle hi wafaon se gurezan the bahut
tum se hum tark-e-talluq ka gila kya karte
gul mein rangat thi nazaron mein jawani tujh se
hum tere baad bahaaron ka bhala kya karte
tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par
phir se hum bhar gae zaKHmon ko hara kya karte
hum to kar dete gila tujh se na aane ka tere
ghonT deti thi par ummid gala kya karte
jis ki ulfat mein har ek chiz luTa di 'fayyaz'
hum ko samjha gae aadab-e-wafa kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.