shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujhko
shikva na baḳht se hai ne āsmāñ se mujh ko
pahuñchī jo kuchh aziyyat apne gumāñ se mujh ko
qāsid kahe to hai tū pūchhe thā haal terā
tasdīq is kī lekin hove kahāñ se mujh ko
āshiq na thā maiñ bulbul kuchh gul ke rañg-o-bū kā
ik uns ho gayā thā is gulsitāñ se mujh ko
jaatā huuñ jis jagah ab vaañ ḳhānumāñ hai merā
khoyā hai ai falak tiiñ go ḳhānumāñ se mujh ko
bā-vasf-e-be-kamālī izzat-talab huuñ 'qā.em'
darḳhur na ho so kyūñ-kar ahl-e-jahāñ se mujh ko
shikwa na baKHt se hai ne aasman se mujh ko
pahunchi jo kuchh aziyyat apne guman se mujh ko
qasid kahe to hai tu puchhe tha haal tera
tasdiq is ki lekin howe kahan se mujh ko
aashiq na tha main bulbul kuchh gul ke rang-o-bu ka
ek uns ho gaya tha is gulsitan se mujh ko
jata hun jis jagah ab wan KHanuman hai mera
khoya hai ai falak tin go KHanuman se mujh ko
ba-wasf-e-be-kamali izzat-talab hun 'qaem'
darKHur na ho so kyun-kar ahl-e-jahan se mujh ko
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.