shikwa-sanj-e-umr-e-fani hai bayan-e-arzu
shikwa-sanj-e-umr-e-fani hai bayan-e-arzu
Qazi Syed Mushtaq Naqvi
MORE BYQazi Syed Mushtaq Naqvi
shikva-sanj-e-umr-e-fānī hai bayān-e-ārzū
ḳhatm hotī hī nahīñ hai dāstān-e-ārzū
āñkhoñ āñkhoñ meñ kahī hai dāstān-e-ārzū
bātoñ bātoñ meñ kiyā hai rāzdān-e-ārzū
vo bayān-e-ārzū par mujh se farmāne lage
aarzū dil kī na nikle ye hai shān-e-ārzū
ban sañvar kar aa.e haiñ vo pursish-e-bīmār ko
le rahe haiñ vaqt-e-naz.a imtihān-e-ārzū
mujh meñ aur un meñ faqat 'mushtāq' itnā farq hai
maiñ sarāpā aarzū huuñ vo haiñ jān-e-ārzū
shikwa-sanj-e-umr-e-fani hai bayan-e-arzu
KHatm hoti hi nahin hai dastan-e-arzu
aankhon aankhon mein kahi hai dastan-e-arzu
baaton baaton mein kiya hai raazdan-e-arzu
wo bayan-e-arzu par mujh se farmane lage
aarzu dil ki na nikle ye hai shan-e-arzu
ban sanwar kar aae hain wo pursish-e-bimar ko
le rahe hain waqt-e-naza imtihan-e-arzu
mujh mein aur un mein faqat 'mushtaq' itna farq hai
main sarapa aarzu hun wo hain jaan-e-arzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.