shikwe hamein to jehd-e-mukarrar ke nahin hain
shikve hameñ to jehd-e-mukarrar ke nahīñ haiñ
hijrat huī hai yuuñ ki kisī ghar ke nahīñ haiñ
kis jurm meñ ye pahlū-tahī ham se ravā hai
ai shīsha-e-gard ham koī patthar ke nahīñ haiñ
sar-basta-e-zanjīr kiyā ham ko jinhoñ ne
vo log usī ghar ke haiñ bāhar ke nahīñ haiñ
kis darja mukarram haiñ mire ashk na pūchho
vo daam mile haiñ ki jo gauhar ke nahīñ haiñ
vo dard sahā hai ki jo ġhairoñ kā nahīñ thā
vo zaḳhm lage haiñ ki jo ḳhanjar ke nahīñ haiñ
shikwe hamein to jehd-e-mukarrar ke nahin hain
hijrat hui hai yun ki kisi ghar ke nahin hain
kis jurm mein ye pahlu-tahi hum se rawa hai
ai shisha-e-gard hum koi patthar ke nahin hain
sar-basta-e-zanjir kiya hum ko jinhon ne
wo log usi ghar ke hain bahar ke nahin hain
kis darja mukarram hain mere ashk na puchho
wo dam mile hain ki jo gauhar ke nahin hain
wo dard saha hai ki jo ghairon ka nahin tha
wo zaKHm lage hain ki jo KHanjar ke nahin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.