shikwe ki chubhan mujhko sada achchhi lagi hai
shikve kī chubhan mujh ko sadā achchhī lagī hai
ye fart-e-mohabbat kī adā achchhī lagī hai
ḳhālī hai kahāñ lutf se ab dil kā pighalnā
pur-dard zamāne kī fazā achchhī lagī hai
lamhāt-e-mohabbat sabhī yaksāñ nahīñ hote
ai jān-e-vafā terī jafā achchhī lagī hai
mahfil meñ shanāsā bhī banā baiThā hai anjān
us shaḳhs kī majbūr vafā achchhī lagī hai
niklegā usī parde se taptā huā sūraj
ye soch ke hī kaalī ghaTā achchhī lagī hai
tū band kiye kaan jo suntī hai sabhoñ kī
sach-much ye 'sadaf' terī adā achchhī lagī hai
shikwe ki chubhan mujh ko sada achchhi lagi hai
ye fart-e-mohabbat ki ada achchhi lagi hai
KHali hai kahan lutf se ab dil ka pighalna
pur-dard zamane ki faza achchhi lagi hai
lamhat-e-mohabbat sabhi yaksan nahin hote
ai jaan-e-wafa teri jafa achchhi lagi hai
mahfil mein shanasa bhi bana baiTha hai anjaan
us shaKHs ki majbur wafa achchhi lagi hai
niklega usi parde se tapta hua suraj
ye soch ke hi kali ghaTa achchhi lagi hai
tu band kiye kan jo sunti hai sabhon ki
sach-much ye 'sadaf' teri ada achchhi lagi hai
- Book : Sargoshi Baharon Ki (Pg. 54)
- Author : Sadaf Jafri
- Publication : Maktaba Talimat (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.