ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki
ab to shahroñ se ḳhabar aatī hai dīvānoñ kī
koī pahchān hī baaqī nahīñ vīrānoñ kī
apnī poshāk se hushyār ki ḳhuddām-e-qadīm
dhajjiyāñ māñgte haiñ apne garebānoñ kī
san.ateñ phailtī jaatī haiñ magar is ke saath
sarhadeñ TūTtī jaatī haiñ gulistānoñ kī
dil meñ vo zaḳhm khile haiñ ki chaman kyā shai hai
ghar meñ bārāt sī utrī huī gul-dānoñ kī
un ko kyā fikr ki maiñ paar lagā yā Duubā
bahs karte rahe sāhil pe jo tūfānoñ kī
terī rahmat to musallam hai magar ye to batā
kaun bijlī ko ḳhabar detā hai kāshānoñ kī
maqbare bante haiñ zindoñ ke makānoñ se buland
kis qadar auj pe takrīm hai insānoñ kī
ek ik yaad ke hāthoñ pe charāġhoñ bhare tasht
ka.aba-e-dil kī fazā hai ki sanam-ḳhānoñ kī
ab to shahron se KHabar aati hai diwanon ki
koi pahchan hi baqi nahin viranon ki
apni poshak se hushyar ki KHuddam-e-qadim
dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki
sanaten phailti jati hain magar is ke sath
sarhaden TuTti jati hain gulistanon ki
dil mein wo zaKHm khile hain ki chaman kya shai hai
ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki
un ko kya fikr ki main par laga ya Duba
bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki
teri rahmat to musallam hai magar ye to bata
kaun bijli ko KHabar deta hai kashanon ki
maqbare bante hain zindon ke makanon se buland
kis qadar auj pe takrim hai insanon ki
ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht
kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-KHanon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.