ye gham kya dil ki aadat hai nahin to
ye ġham kyā dil kī 'ādat hai nahīñ to
kisī se kuchh shikāyat hai nahīñ to
kisī ke bin kisī kī yaad ke bin
jiye jaane kī himmat hai nahīñ to
hai vo ik ḳhvāb-e-be-ta.abīr us ko
bhulā dene kī nīyat hai nahīñ to
kisī sūrat bhī dil lagtā nahīñ haañ
to kuchh din se ye hālat hai nahīñ to
tire is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhī is pe hairat hai nahīñ to
ham-āhangī nahīñ duniyā se terī
tujhe is par nadāmat hai nahīñ to
huā jo kuchh yahī maqsūm thā kyā
yahī saarī hikāyat hai nahīñ to
aziyyat-nāk ummīdoñ se tujh ko
amaañ paane kī hasrat hai nahīñ to
tū rahtā hai ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ gum
to is kī vaj.h fursat hai nahīñ to
sabab jo is judā.ī kā banā hai
vo mujh se ḳhūb-sūrat hai nahīñ to
ye gham kya dil ki 'adat hai nahin to
kisi se kuchh shikayat hai nahin to
kisi ke bin kisi ki yaad ke bin
jiye jaane ki himmat hai nahin to
hai wo ek KHwab-e-be-tabir us ko
bhula dene ki niyat hai nahin to
kisi surat bhi dil lagta nahin han
to kuchh din se ye haalat hai nahin to
tere is haal par hai sab ko hairat
tujhe bhi is pe hairat hai nahin to
ham-ahangi nahin duniya se teri
tujhe is par nadamat hai nahin to
hua jo kuchh yahi maqsum tha kya
yahi sari hikayat hai nahin to
aziyyat-nak ummidon se tujh ko
aman pane ki hasrat hai nahin to
tu rahta hai KHayal-o-KHwab mein gum
to is ki wajh fursat hai nahin to
sabab jo is judai ka bana hai
wo mujh se KHub-surat hai nahin to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.