shoala kabhi shabnam kabhi patthar meri aankhen
sho.ala kabhī shabnam kabhī patthar mirī āñkheñ
phir bhī tire jalvoñ kā muqaddar mirī āñkheñ
jab TuuT ke patta koī girtā hai shajar se
rotī haiñ tire ġham se lipaT kar mirī āñkheñ
shabnam se dhule phuul kā paikar tirā chehra
tapte hue sahrāoñ kā manzar mirī āñkheñ
yā mere ḳhalāoñ meñ sajā de koī manzar
yā aur kahīñ rakh de sajā kar mirī āñkheñ
vo chehra mujhe saaf dikhā.ī nahīñ detā
rah jaatī haiñ sāyoñ meñ ulajh kar mirī āñkheñ
phir ashkoñ kā sailāb bahut tez hai 'ḳhālid'
kyā jaane kahāñ jā.eñgī bah kar mirī āñkheñ
shoala kabhi shabnam kabhi patthar meri aankhen
phir bhi tere jalwon ka muqaddar meri aankhen
jab TuT ke patta koi girta hai shajar se
roti hain tere gham se lipaT kar meri aankhen
shabnam se dhule phul ka paikar tera chehra
tapte hue sahraon ka manzar meri aankhen
ya mere KHalaon mein saja de koi manzar
ya aur kahin rakh de saja kar meri aankhen
wo chehra mujhe saf dikhai nahin deta
rah jati hain sayon mein ulajh kar meri aankhen
phir ashkon ka sailab bahut tez hai 'KHalid'
kya jaane kahan jaengi bah kar meri aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.