shoale baras rahe hain lab-e-juebar se
sho.ale baras rahe haiñ lab-e-jūebār se
hai muḳhtalif bahār ye kitnī bahār se
zindāñ kī tīrgī ho ki maqtal kī ḳhāmushī
haiñ mutma.in kisī na kisī e'tibār se
kaise kaheñ ki bārish-e-ḳhūñ kī umiid thī
saa.e to muḳhtalif na the abr-e-bahār se
un kī jabīñ pe shabnam-e-ehsās-e-dilbarī
tashbīh dījiye guhar-e-tābdār se
us jaan sher-o-fan se 'shamīm' aaj guftugū
āġhāz kījiye ġhazal-e-ḳhush-gavār se
shoale baras rahe hain lab-e-juebar se
hai muKHtalif bahaar ye kitni bahaar se
zindan ki tirgi ho ki maqtal ki KHamushi
hain mutmain kisi na kisi e'tibar se
kaise kahen ki barish-e-KHun ki umid thi
sae to muKHtalif na the abr-e-bahaar se
un ki jabin pe shabnam-e-ehsas-e-dilbari
tashbih dijiye guhar-e-tabdar se
us jaan sher-o-fan se 'shamim' aaj guftugu
aaghaz kijiye ghazal-e-KHush-gawar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.