shoalon se lala-zar hai aatish-kada hai dil
sho.aloñ se lāla-zār hai ātish-kada hai dil
zaḳhmoñ ke shab-charāġh kā ik silsila hai dil
ashkoñ ke rañg-o-nūr se āñkheñ dhulī dhulī
soz-o-faroġh-e-karb se sad-soḳhta hai dil
naama mire vajūd kā do lafz meñ asiir
pahchān merī ishq hai merā pata hai dil
sahnā tamām vaar muqaddar usī kā hai
āmājgāh-e-ishq meñ goyā zarā hai dil
anjān hādsoñ se munavvar hai kā.enāt
lekin sabhoñ meñ sab se ajab hādisa hai dil
aadam kī fard-e-jurm virāsat banī 'shahāb'
jannat ke mai-kade se uḌāyā nasha hai dil
shoalon se lala-zar hai aatish-kada hai dil
zaKHmon ke shab-charagh ka ek silsila hai dil
ashkon ke rang-o-nur se aankhen dhuli dhuli
soz-o-farogh-e-karb se sad-soKHta hai dil
nama mere wajud ka do lafz mein asir
pahchan meri ishq hai mera pata hai dil
sahna tamam war muqaddar usi ka hai
aamajgah-e-ishq mein goya zara hai dil
anjaan hadson se munawwar hai kaenat
lekin sabhon mein sab se ajab hadisa hai dil
aadam ki fard-e-jurm wirasat bani 'shahab'
jannat ke mai-kade se uDaya nasha hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.