shohrat-e-fan bahut hui dad kamal de gae
shohrat-e-fan bahut huī daad kamāl de ga.e
sher to dosto magar sāhib-e-hāl de ga.e
navard gudāz jo bhī thā dil kī lagī kā khel thā
shīsha-e-zindagī ko ham sham-e-ḳhayāl de ga.e
pursish-e-ġham ke saath thī shirkat-e-ġham nigāh meñ
kitnā malāl le ga.e kitnā malāl de ga.e
sub.h-e-chaman chaman na.ī shām-e-kiran kiran na.ī
ham tirī kā.enāt ko terā jamāl de ga.e
ham se judā hue to kyā ham se judā na rah sake
ā.īna firāq ko aks-e-visāl de ga.e
shohrat-e-fan bahut hui dad kamal de gae
sher to dosto magar sahib-e-haal de gae
naward gudaz jo bhi tha dil ki lagi ka khel tha
shisha-e-zindagi ko hum sham-e-KHayal de gae
pursish-e-gham ke sath thi shirkat-e-gham nigah mein
kitna malal le gae kitna malal de gae
subh-e-chaman chaman nai sham-e-kiran kiran nai
hum teri kaenat ko tera jamal de gae
hum se juda hue to kya hum se juda na rah sake
aaina firaq ko aks-e-visal de gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.