hail thi bich mein jo razai tamam shab
haa.il thī biich meñ jo razā.ī tamām shab
is ġham se ham ko niiñd na aa.ī tamām shab
kī yaas se havas ne laḌā.ī tamām shab
tum ne to ḳhuub raah dikhā.ī tamām shab
phir bhī to ḳhatm ho na sakī aarzū kī baat
har chand ham ne un ko sunā.ī tamām shab
bebāk milte hī jo hue ham to sharm se
aañkh us parī ne phir na milā.ī tamām shab
dil ḳhuub jāntā hai ki tum kis ḳhayāl se
karte rahe adū kī burā.ī tamām shab
phir shaam hī se kyuuñ vo chale the chhuḌā ke haath
dukhtī rahī jo un kī kalā.ī tamām shab
'hasrat' se kuchh vo aate hī aise hue ḳhafā
phir ho sakī na un se safā.ī tamām shab
hail thi bich mein jo razai tamam shab
is gham se hum ko nind na aai tamam shab
ki yas se hawas ne laDai tamam shab
tum ne to KHub rah dikhai tamam shab
phir bhi to KHatm ho na saki aarzu ki baat
har chand hum ne un ko sunai tamam shab
bebak milte hi jo hue hum to sharm se
aankh us pari ne phir na milai tamam shab
dil KHub jaanta hai ki tum kis KHayal se
karte rahe adu ki burai tamam shab
phir sham hi se kyun wo chale the chhuDa ke hath
dukhti rahi jo un ki kalai tamam shab
'hasrat' se kuchh wo aate hi aise hue KHafa
phir ho saki na un se safai tamam shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.