shoKHi ada ghurur shararat KHaridiye
shoḳhī adā ġhurūr sharārat ḳharīdiye
chāñdī uchhāliye to qayāmat ḳharīdiye
aslāf ke nuqūsh kitāboñ meñ band haiñ
bāzār se kisī kī shabāhat ḳharīdiye
aTkī huī hai ruuh purānī tarāsh meñ
kis dil se asr-e-hāl kī jiddat ḳharīdiye
ahl-e-jahāñ kā aur badalne lagā mazāq
fikr-o-nazar bhī hasb-e-zarūrat ḳharīdiye
zāhir bahut hasīn hai bātin ghināvnā
pachhtā.iyegā aap mujhe mat ḳharīdiye
qur.ān kholne key zarūrat nahīñ rahī
biktī hai sub.h-o-shām tilāvat ḳharīdiye
pak jā.egā to aap Tapak jā.egā janāb
āñgan meñ shāḳh aa.ī hai phal mat ḳharīdiye
shoKHi ada ghurur shararat KHaridiye
chandi uchhaaliye to qayamat KHaridiye
aslaf ke nuqush kitabon mein band hain
bazar se kisi ki shabahat KHaridiye
aTki hui hai ruh purani tarash mein
kis dil se asr-e-haal ki jiddat KHaridiye
ahl-e-jahan ka aur badalne laga mazaq
fikr-o-nazar bhi hasb-e-zarurat KHaridiye
zahir bahut hasin hai baatin ghinawna
pachhtaiyega aap mujhe mat KHaridiye
quran kholne key zarurat nahin rahi
bikti hai subh-o-sham tilawat KHaridiye
pak jaega to aap Tapak jaega janab
aangan mein shaKH aai hai phal mat KHaridiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.