shoKHi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai
shoḳhī-e-dard-e-dil-e-zār gul-e-naġhma hai
us kā har lahja-e-guftār gul-e-naġhma hai
soī soī sī ḳhalāoñ ko ham-āġhosh karo
qulzum-e-zaḳhm se bedār gul-e-naġhma hai
ḳhvāb-e-imkān-e-vafā hai vo mujassam koī
ham hue jis ke parastār gul-e-naġhma hai
chāñdnī kī hai na.ī sham.a shagufta pur-nūr
sar-tā-pā ishq kā shahkār gul-e-naġhma hai
chāñd sūraj ye sitāre haiñ sharāre us ke
us kī añgḌā.ī to anvār gul-e-naġhma hai
shash-jihāt us ke haiñ aurāq-e-ziyā oḌhe hue
muskurātā huā sansār gul-e-naġhma hai
mauj-dar-mauj badan kartā hai jaadū jaise
har adā us kī pur-asrār gul-e-naġhma hai
aa.ina sī hai vo doshīza mohabbat kī misāl
hoñT sho.ala hai to ruḳhsār gul-e-naġhma hai
rishta-e-rūh ne bāñdhā hai hameñ kis ke 'nadīm'
maiñ qalandar huuñ mirā yaar gul-e-naġhma hai
shoKHi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai
us ka har lahja-e-guftar gul-e-naghma hai
soi soi si KHalaon ko ham-aghosh karo
qulzum-e-zaKHm se bedar gul-e-naghma hai
KHwab-e-imkan-e-wafa hai wo mujassam koi
hum hue jis ke parastar gul-e-naghma hai
chandni ki hai nai shama shagufta pur-nur
sar-ta-pa ishq ka shahkar gul-e-naghma hai
chand suraj ye sitare hain sharare us ke
us ki angDai to anwar gul-e-naghma hai
shash-jihat us ke hain auraq-e-ziya oDhe hue
muskuraata hua sansar gul-e-naghma hai
mauj-dar-mauj badan karta hai jadu jaise
har ada us ki pur-asrar gul-e-naghma hai
aaina si hai wo doshiza mohabbat ki misal
honT shoala hai to ruKHsar gul-e-naghma hai
rishta-e-ruh ne bandha hai hamein kis ke 'nadim'
main qalandar hun mera yar gul-e-naghma hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.