shoKHi-e-garmi-e-raftar dikhate na chalo
shoḳhī-e-garmī-e-raftār dikhāte na chalo
fitna-e-hashr ko sīmāb batāte na chalo
ġhair bhī karne lage naqsh-e-qadam par sajde
naqsh-e-hub dil pe raqīboñ ke biThāte na chalo
chalte chalte to na ġhairoñ se hañso bahr-e-ḳhudā
ḳhaak meñ ashk namat mujh ko milāte na chalo
nigah-e-garm se gulshan meñ na dekho gul ko
ātish-e-rashk se bulbul ko jalāte na chalo
us ke kūche se na ghabrā ke chalo ai 'tanvīr'
log pā jā.eñge āñkhoñ ko churāte na chalo
shoKHi-e-garmi-e-raftar dikhate na chalo
fitna-e-hashr ko simab batate na chalo
ghair bhi karne lage naqsh-e-qadam par sajde
naqsh-e-hub dil pe raqibon ke biThate na chalo
chalte chalte to na ghairon se hanso bahr-e-KHuda
KHak mein ashk namat mujh ko milate na chalo
nigah-e-garm se gulshan mein na dekho gul ko
aatish-e-rashk se bulbul ko jalate na chalo
us ke kuche se na ghabra ke chalo ai 'tanwir'
log pa jaenge aankhon ko churaate na chalo
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.