shoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein
shoḳhī ne terī lutf na rakkhā hijāb meñ
jalve ne tere aag lagā.ī naqāb meñ
vo qatra huuñ ki mauja-e-dariyā meñ gum huā
vo saaya huuñ ki mahv huā āftāb meñ
us saut-e-jāñ-navāz kā saanī banā nahīñ
kyā DhūñDte ho barbat-o-ūd-o-rabāb meñ
pūchhī thī ham ne vaj.h-e-mulāqāt-e-mudda.ī
ik umr ho ga.ī unheñ fikr-e-javāb meñ
laḌtī na jaa.e aañkh jo saaqī se 'sheftā'
ham ko to ḳhaak lutf na aa.e sharāb meñ
shoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein
jalwe ne tere aag lagai naqab mein
wo qatra hun ki mauja-e-dariya mein gum hua
wo saya hun ki mahw hua aaftab mein
us saut-e-jaan-nawaz ka sani bana nahin
kya DhunDte ho barbat-o-ud-o-rabab mein
puchhi thi hum ne wajh-e-mulaqat-e-muddai
ek umr ho gai unhen fikr-e-jawab mein
laDti na jae aankh jo saqi se 'shefta'
hum ko to KHak lutf na aae sharab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.