shoKHi-o-naz juda rang juda mange hai
shoḳhī-o-nāz judā rang judā māñge hai
nāzukī husn kī phūloñ kī adā māñge hai
sochtā huuñ ki milā kyā hai ḳhudā ke dar se
saañs lene ko bhī insān havā māñge hai
'ahd-e-hāzir meñ vo bohtāt hai ranj-o-ġham kī
banda ghabrā ke koī aur ḳhudā māñge hai
ek sajde ko bhī tayyār nahīñ dil merā
dar magar rahmat-e-yazdāñ kā khulā māñge hai
dekh kis haal ko pahuñchā hai ye bīmār-e-alam
chārāgar muñh ko take hai jo davā māñge hai
bū-e-gul dekh kahīñ terī zarūrat to nahīñ
chheḌ kar zulf ko kuchh bād-e-sabā māñge hai
ai falak ḳhud ko sañbhālūñ ki bachā.ūñ kashtī
hosh kyā jaañ bhī mirī mauj-e-balā māñge hai
shoKHi-o-naz juda rang juda mange hai
nazuki husn ki phulon ki ada mange hai
sochta hun ki mila kya hai KHuda ke dar se
sans lene ko bhi insan hawa mange hai
'ahd-e-hazir mein wo bohtat hai ranj-o-gham ki
banda ghabra ke koi aur KHuda mange hai
ek sajde ko bhi tayyar nahin dil mera
dar magar rahmat-e-yazdan ka khula mange hai
dekh kis haal ko pahuncha hai ye bimar-e-alam
chaaragar munh ko take hai jo dawa mange hai
bu-e-gul dekh kahin teri zarurat to nahin
chheD kar zulf ko kuchh baad-e-saba mange hai
ai falak KHud ko sanbhaalun ki bachaun kashti
hosh kya jaan bhi meri mauj-e-bala mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.