shoKHi shabab husn tabassum haya ke sath
shoKHi shabab husn tabassum haya ke sath
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
shoḳhī shabāb husn tabassum hayā ke saath
dil le liyā hai aap ne kis kis adā ke saath
har lamha māñgte haiñ duā dīd-e-yār kī
yād-e-butāñ bhī dil meñ hai yād-e-ḳhudā ke saath
tīr-e-nigāh lutf-o-karam se na bach sakā
jo mar sakā na ḳhanjar-e-jaur-o-jafā ke saath
ifshā-e-rāz-e-ishq kā mujh se ho kyā gila
kyā tum chhupā sake ho use is hayā ke saath
dil kāmyāb hai na nazar bāryāb hai
paalā paḌā hai ishq meñ kis bevafā ke saath
ai mohtasib hamāre gunah haiñ bajā magar
rahmat kā baab khultā hai har ik ḳhatā ke saath
shoKHi shabab husn tabassum haya ke sath
dil le liya hai aap ne kis kis ada ke sath
har lamha mangte hain dua did-e-yar ki
yaad-e-butan bhi dil mein hai yaad-e-KHuda ke sath
tir-e-nigah lutf-o-karam se na bach saka
jo mar saka na KHanjar-e-jaur-o-jafa ke sath
ifsha-e-raaz-e-ishq ka mujh se ho kya gila
kya tum chhupa sake ho use is haya ke sath
dil kaamyab hai na nazar baryab hai
pala paDa hai ishq mein kis bewafa ke sath
ai mohtasib hamare gunah hain baja magar
rahmat ka bab khulta hai har ek KHata ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.