shor aahon ka uTha nala falak sa nikla
shor aahoñ kā uThā naala falak sā niklā
aaj is dhuum se zālim terā shaidā niklā
yuuñ to ham the yūñhī kuchh misl-e-anār-o-mahtāb
jab hameñ aag dikhā.ī to tamāshā niklā
ġham se ham bhānmatī ban ke jahāñ baiThe the
ittifāqan kahīñ vo shoḳh bhī vaañ aa niklā
siine kī aag dikhāne ko dahan se apne
sho.ale par sho.ala bhabhūke pe bhabhūkā niklā
mat shafaq kah ye tirā ḳhuun falak par hai 'nazīr'
dekh Tapkā thā kahāñ aur kahāñ jā niklā
shor aahon ka uTha nala falak sa nikla
aaj is dhum se zalim tera shaida nikla
yun to hum the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab
jab hamein aag dikhai to tamasha nikla
gham se hum bhanmati ban ke jahan baiThe the
ittifaqan kahin wo shoKH bhi wan aa nikla
sine ki aag dikhane ko dahan se apne
shoale par shoala bhabhuke pe bhabhuka nikla
mat shafaq kah ye tera KHun falak par hai 'nazir'
dekh Tapka tha kahan aur kahan ja nikla
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.