shor-e-dariya-e-wafa-e-ishrat ishrat-e-sahil ke qarib
shor-e-dariyā-e-vafā-e-ishrat ishrat-e-sāhil ke qarīb
ruk ga.e apne qadam aa.e jo manzil ke qarīb
phir ye vāraftagi-e-shauq samajh meñ aa.e
ik zarā jā ke to dekhe koī bismil ke qarīb
un se bichhḌe hue muddat huī lekin ab bhī
ik chubhan hotī hai mahsūs mujhe dil ke qarīb
aks-e-bāzār yahāñ bhī na ho is ḳhauf se ham
lauT lauT aa.e haiñ jā kar tirī mahfil ke qarīb
shor-e-dariya-e-wafa-e-ishrat ishrat-e-sahil ke qarib
ruk gae apne qadam aae jo manzil ke qarib
phir ye waraftagi-e-shauq samajh mein aae
ek zara ja ke to dekhe koi bismil ke qarib
un se bichhDe hue muddat hui lekin ab bhi
ek chubhan hoti hai mahsus mujhe dil ke qarib
aks-e-bazar yahan bhi na ho is KHauf se hum
lauT lauT aae hain ja kar teri mahfil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.