shor-e-dil mein us taraf ki KHamushi se bach gai
shor-e-dil meñ us taraf kī ḳhāmushī se bach ga.ī
ik mohabbat phir kisī dīvāngī se bach ga.ī
vo gumāñ us kā ki hai ḳhushiyoñ kī manzil koī aur
ranj ye merā ki vo apnī ḳhushī se bach ga.ī
jism-o-jāñ ko raushan-o-sarshār kartī ik khanak
maiñ liye phirtā huuñ jo us kī hañsī se bach ga.ī
maiñ ne jaanā ab huā har aag se ḳhālī ye dil
ik ye chingārī kahāñ is phuljhaḌī se bach ga.ī
nit-na.e raste banā letā hai sailāb-e-balā
kaun sī bastī hai jo ġhārat-garī se bach ga.ī
din vo achchhā jis meñ ujyāle kā mailā-pan na ho
raat vo achchhī jo kaalī raushnī se bach ga.ī
ik zamāne meñ baḌā shohrā thā merī 'aql kā
ab to bas vo hai jo zo’m-e-āgahī se bach ga.ī
she'r kyoñ kahte ho 'āzam' ye suḳhan kis ke liye
ab ġhazal maqbūl hai jo shā'irī se bach ga.ī
shor-e-dil mein us taraf ki KHamushi se bach gai
ek mohabbat phir kisi diwangi se bach gai
wo guman us ka ki hai KHushiyon ki manzil koi aur
ranj ye mera ki wo apni KHushi se bach gai
jism-o-jaan ko raushan-o-sarshaar karti ek khanak
main liye phirta hun jo us ki hansi se bach gai
main ne jaana ab hua har aag se KHali ye dil
ek ye chingari kahan is phuljhaDi se bach gai
nit-nae raste bana leta hai sailab-e-bala
kaun si basti hai jo ghaarat-gari se bach gai
din wo achchha jis mein ujyale ka maila-pan na ho
raat wo achchhi jo kali raushni se bach gai
ek zamane mein baDa shohra tha meri 'aql ka
ab to bas wo hai jo zo’m-e-agahi se bach gai
she'r kyon kahte ho 'azam' ye suKHan kis ke liye
ab ghazal maqbul hai jo sha'iri se bach gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.