shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha
shor kaisā hai mire dil ke ḳharābe se uThā
shahr jaise ki koī apne hī malbe se uThā
yā uThā dasht meñ dīvāne se bār-e-furqat
yā tire shahr meñ ik chāhne vaale se uThā
yā mirī ḳhaak ko mil jaane de is miTTī meñ
yā mujhe ḳhuun kī lalkār pe kūche se uThā
tū mire paas nahīñ hotā ye sach hai lekin
tirī āvāz par har sub.h meñ sote se uThā
chaak pe rakkhā hai to lams bhī de hāthoñ kā
merī pahchān ta.attul ke andhere se uThā
dil ki hai ḳhuun kā ik qatra magar duniyā meñ
jab uThā hashr isī ek ilāqe se uThā
ye ujāloñ kī ināyat hai ki banda-e-'ash.har'
apne saa.e pe girā apne hī saa.e se uThā
shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha
shahr jaise ki koi apne hi malbe se uTha
ya uTha dasht mein diwane se bar-e-furqat
ya tere shahr mein ek chahne wale se uTha
ya meri KHak ko mil jaane de is miTTi mein
ya mujhe KHun ki lalkar pe kuche se uTha
tu mere pas nahin hota ye sach hai lekin
teri aawaz par har subh mein sote se uTha
chaak pe rakkha hai to lams bhi de hathon ka
meri pahchan tattul ke andhere se uTha
dil ki hai KHun ka ek qatra magar duniya mein
jab uTha hashr isi ek ilaqe se uTha
ye ujalon ki inayat hai ki banda-e-'ashhar'
apne sae pe gira apne hi sae se uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.