shor karunga aur na kuchh bhi bolunga
shor karūñgā aur na kuchh bhī bolūñgā
ḳhāmoshī se apnā ronā ro lūñgā
saarī umr isī ḳhvāhish meñ guzrī hai
dastak hogī aur darvāza kholūñgā
tanhā.ī meñ ḳhud se bāteñ karnī haiñ
mere muñh meñ jo aa.egā bolūñgā
raat bahut hai tum chāho to so jaao
merā kyā hai maiñ din meñ bhī so lūñgā
tum ko dil kī baat batānī hai lekin
āñkheñ band karo to muTThī kholūñgā
shor karunga aur na kuchh bhi bolunga
KHamoshi se apna rona ro lunga
sari umr isi KHwahish mein guzri hai
dastak hogi aur darwaza kholunga
tanhai mein KHud se baaten karni hain
mere munh mein jo aaega bolunga
raat bahut hai tum chaho to so jao
mera kya hai main din mein bhi so lunga
tum ko dil ki baat batani hai lekin
aankhen band karo to muTThi kholunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.