shor ke shar mein naz sakin hain
shor ke shar meñ naaz sākin haiñ
chup kī āñkhoñ meñ saaz sākin haiñ
shahr-e-ḳhāmosh meñ kabhī dekho
zindagī ke hī raaz sākin haiñ
le ke umroñ kī dhuul chehroñ par
ham ai umr-e-darāz sākin haiñ
kaisī uftād hai zamāne par
sab yahāñ chāra-sāz sākin haiñ
nek-niyyat jo log haiñ saare
dil meñ le kar gudāz sākin haiñ
dil ne jab se shu.ūr paayā hai
saañs ke taar 'shāz' sākin haiñ
shor ke shar mein naz sakin hain
chup ki aankhon mein saz sakin hain
shahr-e-KHamosh mein kabhi dekho
zindagi ke hi raaz sakin hain
le ke umron ki dhul chehron par
hum ai umr-e-daraaz sakin hain
kaisi uftad hai zamane par
sab yahan chaara-saz sakin hain
nek-niyyat jo log hain sare
dil mein le kar gudaz sakin hain
dil ne jab se shuur paya hai
sans ke tar 'shaz' sakin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.