shor-o-ghul aahen karahen aur alam paiham tha shad
shor-o-ġhul aaheñ karāheñ aur alam paiham thā 'shād'
raat mere dil kī bastī kā 'ajab mausam thā 'shād'
barq-o-bārāñ kī nazar mujh par rahī āThoñ pahar
kyoñ mire hī āshiyāñ par āsmāñ barham thā 'shād'
saañs lenā bhī girāñ thā nā-tavānī par mirī
hijr kā 'ālam bhī jaise naz' kā 'ālam thā 'shād'
bādaloñ kī aaḌ se koī muḳhātab thā magar
lafz be-mā'nī the aur lahja bhī kuchh mub.ham thā 'shād'
mere dil par thī musallat vahshatoñ kī tīrgī
par 'ināyat kā charāġhāñ bhī zarā kam-kam thā 'shād'
āñsuoñ se tar milā har shaḳhs kā dāman vahāñ
har kisī ke dil meñ pinhāñ jaise koī ġham thā 'shād'
apnī baḳhshish ke liye thā har koī koshāñ vahāñ
maiñ bhī saf meñ thā magar bā-dīda-e-pur-nam thā 'shād'
shor-o-ghul aahen karahen aur alam paiham tha 'shad'
raat mere dil ki basti ka 'ajab mausam tha 'shad'
barq-o-baran ki nazar mujh par rahi aaThon pahar
kyon mere hi aashiyan par aasman barham tha 'shad'
sans lena bhi giran tha na-tawani par meri
hijr ka 'alam bhi jaise naz' ka 'alam tha 'shad'
baadalon ki aaD se koi muKHatab tha magar
lafz be-ma'ni the aur lahja bhi kuchh mubham tha 'shad'
mere dil par thi musallat wahshaton ki tirgi
par 'inayat ka charaghan bhi zara kam-kam tha 'shad'
aansuon se tar mila har shaKHs ka daman wahan
har kisi ke dil mein pinhan jaise koi gham tha 'shad'
apni baKHshish ke liye tha har koi koshan wahan
main bhi saf mein tha magar ba-dida-e-pur-nam tha 'shad'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.