shor uske makan se uThta hai
shor us ke makāñ se uThtā hai
kyā vo muflis jahāñ se uThtā hai
shak ta'alluq ḳharāb kartā hai
fitna vahm-o-gumāñ se uThtā hai
dam meñ bujh jaatī hai saf-e-mātam
tū agar darmiyāñ se uThtā hai
duniyā jhūToñ meñ baT ga.ī dekheñ
na.ara-e-haq kahāñ se uThtā hai
shahr meñ kis taraf lagī hai aag
ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai
duud insāniyat kī ḳhushbū kā
pyārī urdu zabāñ se uThtā hai
'ishq meñ aadmī 'zamāñ' uupar
fikr-e-sūd-o-ziyāñ se uThtā hai
shor us ke makan se uThta hai
kya wo muflis jahan se uThta hai
shak ta'alluq KHarab karta hai
fitna wahm-o-guman se uThta hai
dam mein bujh jati hai saf-e-matam
tu agar darmiyan se uThta hai
duniya jhuTon mein baT gai dekhen
nara-e-haq kahan se uThta hai
shahr mein kis taraf lagi hai aag
ye dhuan sa kahan se uThta hai
dud insaniyat ki KHushbu ka
pyari urdu zaban se uThta hai
'ishq mein aadmi 'zaman' upar
fikr-e-sud-o-ziyan se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.