shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum
shorish-e-vaqt huī vaqt kī raftār meñ gum
din guzarte haiñ tire ḳhvāb ke āsār meñ gum
kyā ajab thī vo fazāoñ meñ ghulī bū-e-qadīm
shahr kā shahr huā vahshat-e-asrār meñ gum
is kahānī kā bhī unvān koī hairat-e-husn
ā.īna aks meñ aks ā.īna-bardār meñ gum
dekh ye aañkh tirī chhab se huī ḳhākistar
sun samā.at hai tirī narmī-e-guftār meñ gum
jo tire ḳhitta-e-be-āb kī ḳhvāhish na banā
kulbulātā hai vo dariyā kisī kohsār meñ gum
ab tamannāoñ ke isbāt kā sahte haiñ azaab
ham ki rahte the kabhī nashsha-e-inkār meñ gum
kis tarah un pe ḳhamoshī ke ma.ānī khulte
umr bhar log rahe lafz kī takrār meñ gum
shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum
din guzarte hain tere KHwab ke aasar mein gum
kya ajab thi wo fazaon mein ghuli bu-e-qadim
shahr ka shahr hua wahshat-e-asrar mein gum
is kahani ka bhi unwan koi hairat-e-husn
aaina aks mein aks aaina-bardar mein gum
dekh ye aankh teri chhab se hui KHakistar
sun samaat hai teri narmi-e-guftar mein gum
jo tere KHitta-e-be-ab ki KHwahish na bana
kulbulata hai wo dariya kisi kohsar mein gum
ab tamannaon ke isbaat ka sahte hain azab
hum ki rahte the kabhi nashsha-e-inkar mein gum
kis tarah un pe KHamoshi ke maani khulte
umr bhar log rahe lafz ki takrar mein gum
- Book : Duniya Zade (Pg. 213)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Scheherzade (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.