shua-e-samt-e-safar ko nazar mein rakhna hai
shuā-e-samt-e-safar ko nazar meñ rakhnā hai
talātum aur bhañvar ko nazar meñ rakhnā hai
haiñ raah meñ ḳhas-o-ḳhāshāk ke pahāḌ to kyā
tilism-e-barq ko apne hunar meñ rakhnā hai
shi.ār-e-chob-e-qalam sheva-e-asā-e-kalīm
shuā-e-tūr ko tār-e-nazar meñ rakhnā hai
na.e tabūk ne an-gin mahāz khole haiñ
abhī gunāh-e-qadam apne ghar meñ rakhnā hai
shaboñ ke paas rahe ġhār-e-saur kā tiryāk
hirā kā nuur numūd-e-sahar meñ rakhnā hai
phir us adā se khuleñ zehn-o-dil ke darvāze
usī nasīm-e-uḳhuvvat ko sar meñ rakhnā hai
Dubo rahī hai tahī sīpiyoñ kī nādānī
sadī ke jaal ko pal pal nazar meñ rakhnā hai
kabhī hai dhuup kabhī fikr chāñdnī hai 'matīn'
tajallī-zār-e-ġhazal ko safar meñ rakhnā hai
shua-e-samt-e-safar ko nazar mein rakhna hai
talatum aur bhanwar ko nazar mein rakhna hai
hain rah mein KHas-o-KHashak ke pahaD to kya
tilism-e-barq ko apne hunar mein rakhna hai
shiar-e-chob-e-qalam shewa-e-asa-e-kalim
shua-e-tur ko tar-e-nazar mein rakhna hai
nae tabuk ne an-gin mahaz khole hain
abhi gunah-e-qadam apne ghar mein rakhna hai
shabon ke pas rahe ghaar-e-saur ka tiryak
hira ka nur numud-e-sahar mein rakhna hai
phir us ada se khulen zehn-o-dil ke darwaze
usi nasim-e-uKHuwwat ko sar mein rakhna hai
Dubo rahi hai tahi sipiyon ki nadani
sadi ke jal ko pal pal nazar mein rakhna hai
kabhi hai dhup kabhi fikr chandni hai 'matin'
tajalli-zar-e-ghazal ko safar mein rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.