shuhud-e-dil-zadagan manzaron mein rakh aana
shuhūd-e-dil-zadagāñ manzaroñ meñ rakh aanā
lahū ke daaġh guloñ ke paroñ meñ rakh aanā
ye ḳhānvāda-e-mansūr miT na jaa.e kahīñ
mirī matā-e-junūñ kuchh saroñ meñ rakh aanā
haiñ in meñ band kisī ahd-e-rast-ḳhez ke 'aks
ye merī āñkheñ ajā.ib-gharoñ meñ rakh aanā
ye raat pichhle pahar āftāb DhūñDegī
charāġh-e-shām jalā kar darūñ meñ rakh aanā
tamām 'umr ik āñdhī meñ par rakkhe 'sālim'
vidā' ho to ik āñdhī paroñ meñ rakh aanā
shuhud-e-dil-zadagan manzaron mein rakh aana
lahu ke dagh gulon ke paron mein rakh aana
ye KHanwada-e-mansur miT na jae kahin
meri mata-e-junun kuchh saron mein rakh aana
hain in mein band kisi ahd-e-rast-KHez ke 'aks
ye meri aankhen ajaib-gharon mein rakh aana
ye raat pichhle pahar aaftab DhunDegi
charagh-e-sham jala kar darun mein rakh aana
tamam 'umr ek aandhi mein par rakkhe 'salim'
wida' ho to ek aandhi paron mein rakh aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.