shukr aaKHir azab se nikla
shukr āḳhir azaab se niklā
vaqt ahd-e-shabāb se niklā
us ke ham yuuñ bayān se nikle
jaise kāñTā gulāb se niklā
umr yak-dam chalī ga.ī pīchhe
ḳhat achānak kitāb se niklā
jaan tāroñ ne TuuT kar de dī
giit aisā rabāb se niklā
marne vaale tujhe mubārak tū
zindagī ke sarāb se niklā
Dher saare gile nikal aa.e
dil na ḳhāna-ḳharāb se niklā
vo to 'mas.ūd' ḳhud savālī thā
raaz us ke javāb se niklā
shukr aaKHir azab se nikla
waqt ahd-e-shabab se nikla
us ke hum yun bayan se nikle
jaise kanTa gulab se nikla
umr yak-dam chali gai pichhe
KHat achanak kitab se nikla
jaan taron ne TuT kar de di
git aisa rabab se nikla
marne wale tujhe mubarak tu
zindagi ke sarab se nikla
Dher sare gile nikal aae
dil na KHana-KHarab se nikla
wo to 'masud' KHud sawali tha
raaz us ke jawab se nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.