shukr hai aap aa gae aaj ka din to Tal gaya
shukr hai aap aa ga.e aaj kā din to Tal gayā
thoḌī sī baat ho ga.ī thoḌā sā dil bahal gayā
chashm-ba-chashm guftugū shahr-ba-shahr kū-ba-kū
sīna-ba-sīna rāz-e-dil duur talak nikal gayā
sho.ala numū-pazīr thā us kī ridā-e-sard meñ
shoḳh havā thī be-ḳhabar barf se haath jal gayā
shor hai be-dilī kā shor dhyān se merī baat sun
terā ḳhayāl-e-dil-sitāñ dil se mire nikal gayā
saa.e jhulas ke rah ga.e vaqt kī tez dhuup meñ
merā bhī rañg uḌ gayā terā bhī ruup Dhal gayā
vaise to kuchh nahīñ huā dekh ke us kī ik jhalak
paañv se khiñch ga.ī zamīñ haath se dil phisal gayā
chāragaroñ ke darmiyāñ us kī kamī rahī magar
shām-e-firāq-e-yār kā yaad se kaam chal gayā
jaadū tirī nigāh kā aaj na mujh pe chal sakā
aaj tirā ḳhayāl bhī kaise kahūñ ki khal gayā
shukr hai aap aa gae aaj ka din to Tal gaya
thoDi si baat ho gai thoDa sa dil bahal gaya
chashm-ba-chashm guftugu shahr-ba-shahr ku-ba-ku
sina-ba-sina raaz-e-dil dur talak nikal gaya
shoala numu-pazir tha us ki rida-e-sard mein
shoKH hawa thi be-KHabar barf se hath jal gaya
shor hai be-dili ka shor dhyan se meri baat sun
tera KHayal-e-dil-sitan dil se mere nikal gaya
sae jhulas ke rah gae waqt ki tez dhup mein
mera bhi rang uD gaya tera bhi rup Dhal gaya
waise to kuchh nahin hua dekh ke us ki ek jhalak
panw se khinch gai zamin hath se dil phisal gaya
chaaragaron ke darmiyan us ki kami rahi magar
sham-e-firaq-e-yar ka yaad se kaam chal gaya
jadu teri nigah ka aaj na mujh pe chal saka
aaj tera KHayal bhi kaise kahun ki khal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.