shukr usne kiya lab pe magar nam na aaya
shukr us ne kiyā lab pe magar naam na aayā
marnā bhī mirā haa.e mire kaam na aayā
allāh shab-e-hijr phir aisī na dikhā.e
ghaḌiyoñ to mujhe yaad tirā naam na aayā
ye tarz-e-jafā kis sikhā.ī thī sitam-gar
sau zulm hue ek bhī ilzām na aayā
but-ḳhāna to but-ḳhāna hai allāh-rī qismat
ka.aba se bhī 'mā.il' kabhī nākām na aayā
shukr us ne kiya lab pe magar nam na aaya
marna bhi mera hae mere kaam na aaya
allah shab-e-hijr phir aisi na dikhae
ghaDiyon to mujhe yaad tera nam na aaya
ye tarz-e-jafa kis sikhai thi sitam-gar
sau zulm hue ek bhi ilzam na aaya
but-KHana to but-KHana hai allah-ri qismat
kaba se bhi 'mail' kabhi nakaam na aaya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 225)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.