shukriya bich safar aapne tanha chhoDa
shukriya bich safar aapne tanha chhoDa
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
shukriya biich safar aap ne tanhā chhoḌā
is tarah aap ne mujh se mirā rishta joḌā
shiddat-e-taish se kaañp uTThī haiñ saarī shāḳheñ
jab bhī gulchīñ ne kisī shāḳh se gul ko toḌā
apne andar se vo ik dam na nikālegā mujhe
mujh ko āñkhoñ se vo Tapkā.egā thoḌā thoḌā
ham ne tahzīb se maiḳhāne kā badlā hai nizām
ham ne mai pheñkī na maiḳhāne meñ sāġhar toḌā
donoñ ḳhush haiñ to ab is baat kā kyā zikr kareñ
kis ne ruḳh apnā dar-e-yār se pahle moḌā
shukriya bich safar aap ne tanha chhoDa
is tarah aap ne mujh se mera rishta joDa
shiddat-e-taish se kanp uTThi hain sari shaKHen
jab bhi gulchin ne kisi shaKH se gul ko toDa
apne andar se wo ek dam na nikalega mujhe
mujh ko aankhon se wo Tapkaega thoDa thoDa
hum ne tahzib se maiKHane ka badla hai nizam
hum ne mai phenki na maiKHane mein saghar toDa
donon KHush hain to ab is baat ka kya zikr karen
kis ne ruKH apna dar-e-yar se pahle moDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.