Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shurua ahl-e-mohabbat ke imtihan hue

Rasheed lakhnavi

shurua ahl-e-mohabbat ke imtihan hue

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    shurūa ahl-e-mohabbat ke imtihān hue

    ab un ko naaz huā hai ki ham javān hue

    sabhoñ aa ga.ī piirī jo tum javān hue

    zamīñ dil huā miTTī ḳham āsmān hue

    ġhazab se kam nahīñ hotā vafūr-e-rahmat bhī

    maiñ Dar gayā vo ziyāda jo mehrbān hue

    are zarā mire dil se ye koī pūchh aa.e

    usī tarah vo ḳhafā haiñ ki mehrbān hue

    khilā nayā koī gul duur duur pahuñchī

    na kyuuñ jahāñ meñ ho shohrat ki vo javān hue

    dil-o-jigar jagah daaġh tak nahīñ baaqī

    jo nām-dār paḌe the vo be-nishān hue

    dil-o-jigar meñ nahīñ jān-e-tan zikr hai kyā

    hamāre marne se ḳhālī ka.ī makān hue

    guzishtagāñ ke jo qisse bayān karte the

    ab un ke zikr bhī kānoñ ko dāstān hue

    evaz namāz-e-janāza ke mere lāshe par

    tamām qissa-e-mehr-o-vafā bayān hue

    gayā dil us vo aa baiThe jis ke pahlū meñ

    bas us jaan ga.ī jis pe mehrbāñ hue

    vo qatl karte magar rahm aa gayā hai 'rashīd'

    ye mere naale mire vāste amaan hue

    shurua ahl-e-mohabbat ke imtihan hue

    ab un ko naz hua hai ki hum jawan hue

    sabhon ki aa gai piri jo tum jawan hue

    zamin ka dil hua miTTi KHam aasman hue

    ghazab se kam nahin hota wafur-e-rahmat bhi

    main Dar gaya wo ziyaada jo mehrban hue

    are zara mere dil se ye koi puchh aae

    usi tarah wo KHafa hain ki mehrban hue

    khila naya koi gul dur dur pahunchi bu

    na kyun jahan mein ho shohrat ki wo jawan hue

    dil-o-jigar ki jagah dagh tak nahin baqi

    jo nam-dar paDe the wo be-nishan hue

    dil-o-jigar mein nahin jaan-e-tan ka zikr hai kya

    hamare marne se KHali kai makan hue

    guzishtagan ke jo qisse bayan karte the

    ab un ke zikr bhi kanon ko dastan hue

    ewaz namaz-e-janaza ke mere lashe par

    tamam qissa-e-mehr-o-wafa bayan hue

    gaya dil us ka wo aa baiThe jis ke pahlu mein

    bas us ki jaan gai jis pe mehrban hue

    wo qatl karte magar rahm aa gaya hai 'rashid'

    ye mere nale mere waste aman hue

    Source :
    • Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-92 page-86)
    • Author : Piyare Sahab Rasheed
    • Edition : 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now