shuur-e-ishq mile ru-e-dar raqs karun
shu.ūr-e-ishq mile rū-e-dār raqs karūñ
haiñ mere paas bahāne hazār raqs karūñ
gulū-e-ḳhushk kī shah-e-rag thak ke kahtī hai
kuchh aur tez ho ḳhanjar kī dhaar raqs karūñ
tavāf-e-ḳhāna-e-dildār gar nasīb nahīñ
ḳhud apne dil kā banā kar mazār raqs karūñ
barahna jism hai kohna libās phaT gayā hai
so oḌh kar maiñ ridā-e-ġhubār raqs karūñ
ujaaḌ dasht meñ maqtal ye baar baar saje
lahū meñ Duub ke maiñ baar baar raqs karūñ
anī kuchh aur chubhā ai sitam-shi.ār ki maiñ
taḌap ke dard meñ be-band-o-bār raqs karūñ
duā hai merī maiñ zaḳhmoñ kī taab lā na sakūñ
sharāb maut kā jaage ḳhumār raqs karūñ
sunā chukā sar-e-neza maiñ ek taaza ġhazal
'nadīm' hai mujhe ab iḳhtiyār raqs karūñ
shuur-e-ishq mile ru-e-dar raqs karun
hain mere pas bahane hazar raqs karun
gulu-e-KHushk ki shah-e-rag thak ke kahti hai
kuchh aur tez ho KHanjar ki dhaar raqs karun
tawaf-e-KHana-e-dildar gar nasib nahin
KHud apne dil ka bana kar mazar raqs karun
barahna jism hai kohna libas phaT gaya hai
so oDh kar main rida-e-ghubar raqs karun
ujaD dasht mein maqtal ye bar bar saje
lahu mein Dub ke main bar bar raqs karun
ani kuchh aur chubha ai sitam-shiar ki main
taDap ke dard mein be-band-o-bar raqs karun
dua hai meri main zaKHmon ki tab la na sakun
sharab maut ka jage KHumar raqs karun
suna chuka sar-e-neza main ek taza ghazal
'nadim' hai mujhe ab iKHtiyar raqs karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.