shuur-e-tishnagi ko aam kar do
shu.ūr-e-tishnagī ko aam kar do
maiñ kab kahtā huuñ merā jaam bhar do
zar-e-gul baañT do ahl-e-chaman meñ
har ek sahrā hamāre naam kar do
na maiñ yūsuf na tum koī zuleḳhā
jahāñ chāho mujhe nīlām kar do
vo mere sāmne baiThe hue haiñ
harīm-e-husn ke nākām pardo
tum itnā husn āḳhir kyā karoge
are kuchh to ḳhudā ke naam par do
shuur-e-tishnagi ko aam kar do
main kab kahta hun mera jam bhar do
zar-e-gul banT do ahl-e-chaman mein
har ek sahra hamare nam kar do
na main yusuf na tum koi zuleKHa
jahan chaho mujhe nilam kar do
wo mere samne baiThe hue hain
harim-e-husn ke nakaam pardo
tum itna husn aaKHir kya karoge
are kuchh to KHuda ke nam par do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.