shuur-e-zat ne bedar kar diya mujhko
shu'ūr-e-zāt ne bedār kar diyā mujh ko
badan ko chaaT ke mismār kar diyā mujh ko
sabhī daraḳht kushāda the bāzūoñ kī tarah
ajiib raah thī sarshār kar diyā mujh ko
phir ek ḳhvāb ne dastak kā baab band kiyā
aur ek niiñd meñ bedār kar diyā mujh ko
nazar ke sāmne ik nīlgūñ samundar thā
bas ek mauj thī ki paar kar diyā mujh ko
maiñ us se pahle mohabbat meñ jaan de detā
kisī nazar ne ḳhabar-dār kar diyā mujh ko
azal se sahl thā fitrat kī asl par 'jāved'
ye kis ne aur bhī dushvār kar diyā mujh ko
shu'ur-e-zat ne bedar kar diya mujh ko
badan ko chaT ke mismar kar diya mujh ko
sabhi daraKHt kushada the bazuon ki tarah
ajib rah thi sarshaar kar diya mujh ko
phir ek KHwab ne dastak ka bab band kiya
aur ek nind mein bedar kar diya mujh ko
nazar ke samne ek nilgun samundar tha
bas ek mauj thi ki par kar diya mujh ko
main us se pahle mohabbat mein jaan de deta
kisi nazar ne KHabar-dar kar diya mujh ko
azal se sahl tha fitrat ki asl par 'jawed'
ye kis ne aur bhi dushwar kar diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.