shuur waqt pe dil ki dawa hui hoti
'shu.ūr' vaqt pe dil kī davā huī hotī
to aaj fikr na hotī shifā huī hotī
muravvatan bhī agar aap aa ga.e hote
tamāniyyat hameñ be-intihā huī hotī
na jaane kitne baras ho ga.e fuġhāñ karte
kabhī to dād-rasī ai ḳhudā huī hotī
na thā nasīb meñ dil kī murād bar aanā
to kaash sabr kī aadat atā huī hotī
hamārā haal tumhārī samajh meñ aa jaatā
agar kisī se mohabbat zarā huī hotī
ham apne-āp se rahte na be-ḳhabar to bhalā
hamārī sūrat-e-hālāt kyā huī hotī
'shu.ūr' aap kī aamad se laakh behtar thā
ġharīb-ḳhāne pe nāzil balā huī hotī
'shuur' waqt pe dil ki dawa hui hoti
to aaj fikr na hoti shifa hui hoti
murawwatan bhi agar aap aa gae hote
tamaniyyat hamein be-intiha hui hoti
na jaane kitne baras ho gae fughan karte
kabhi to dad-rasi ai KHuda hui hoti
na tha nasib mein dil ki murad bar aana
to kash sabr ki aadat ata hui hoti
hamara haal tumhaari samajh mein aa jata
agar kisi se mohabbat zara hui hoti
hum apne-ap se rahte na be-KHabar to bhala
hamari surat-e-haalat kya hui hoti
'shuur' aap ki aamad se lakh behtar tha
gharib-KHane pe nazil bala hui hoti
- Book : Dil Ka Kia Rang Karoon (Pg. 195)
- Author : Anwer Shaoor
- Publication : Syed Farid Hussain (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.