sina KHun se bhara hua mera
siina ḳhuuñ se bharā huā merā
uf ye bad-mast mai-kada merā
nā rasā.ī pe naaz hai jis ko
haa.e vo shauq-e-nā-rasā merā
dil-e-ġham-dīda par ḳhudā kī maar
siina aahoñ se chhil gayā merā
yaad ke tund-o-tez jhoñke se
aaj har daaġh jal uThā merā
yād-e-māzī azaab hai yārab
chhīn le mujh se hāfiza merā
minnat-e-charḳh se barī huuñ meñ
na huā jīte-jī bhalā merā
hai baḌā shaġhl zindagī 'aḳhtar'
pūchhte kyā ho mashġhala merā
sina KHun se bhara hua mera
uf ye bad-mast mai-kada mera
na rasai pe naz hai jis ko
hae wo shauq-e-na-rasa mera
dil-e-gham-dida par KHuda ki mar
sina aahon se chhil gaya mera
yaad ke tund-o-tez jhonke se
aaj har dagh jal uTha mera
yaad-e-mazi azab hai yarab
chhin le mujh se hafiza mera
minnat-e-charKH se bari hun mein
na hua jite-ji bhala mera
hai baDa shaghl zindagi 'aKHtar'
puchhte kya ho mashghala mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.