sine mein ek shor macha hai
siine meñ ik shor machā hai
sannāTā kitnā gahrā hai
aaj bahut kam phuul khile haiñ
shāyad mausam badal rahā hai
sahrā se bāhar niklūñ to
har rasta ghar kā rasta hai
vo kyā bichhḌā maiñ ne sab se
milnā-julnā chhoḌ diyā hai
ghar ke andar habs hai kitnā
bāhar kitnī tez havā hai
saḌkoñ par ik bhiiḌ hai 'ḳhāvar'
saarā shahr magar tanhā hai
sine mein ek shor macha hai
sannaTa kitna gahra hai
aaj bahut kam phul khile hain
shayad mausam badal raha hai
sahra se bahar niklun to
har rasta ghar ka rasta hai
wo kya bichhDa main ne sab se
milna-julna chhoD diya hai
ghar ke andar habs hai kitna
bahar kitni tez hawa hai
saDkon par ek bhiD hai 'KHawar'
sara shahr magar tanha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.