sine mein is chubhe hue KHanjar ka shukriya
siine meñ is chubhe hue ḳhanjar kā shukriya
haañ shukriya aziiz barādar kā shukriya
kashtī ko Dūbne kā salīqa sikhā diyā
tūfān kā bhañvar kā samundar kā shukriya
qismat meñ the mirī yahī tohfe likhe hue
phūloñ kā shukriya tire patthar kā shukriya
zad se hamāre aks kī āzād ho ga.e
ā.īne ab adā kareñ patthar kā shukriya
kuchh to hamārī pyaas kā tum ne rakhā bharam
is zahr se bhare hue sāġhar kā shukriya
sab mere dushmanoñ ke madad-gār ho ga.e
saare hī dostoñ kā barābar kā shukriya
sine mein is chubhe hue KHanjar ka shukriya
han shukriya aziz baradar ka shukriya
kashti ko Dubne ka saliqa sikha diya
tufan ka bhanwar ka samundar ka shukriya
qismat mein the meri yahi tohfe likhe hue
phulon ka shukriya tere patthar ka shukriya
zad se hamare aks ki aazad ho gae
aaine ab ada karen patthar ka shukriya
kuchh to hamari pyas ka tum ne rakha bharam
is zahr se bhare hue saghar ka shukriya
sab mere dushmanon ke madad-gar ho gae
sare hi doston ka barabar ka shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.