sine mein jo hai dard ka dariya nahin utra
siine meñ jo hai dard kā dariyā nahīñ utrā
lekin mirī ummīd kā chehra nahīñ utrā
anjāne meñ ik baar koī bhuul huī thī
ab tak mire ahbāb kā ġhussa nahīñ utrā
sarmāya-e-jāñ haath se jaatā rahā lekin
is ‘ishq-e-junūñ-ḳhez kā qarza nahīñ utrā
batlātī hai ye naqsh-e-kaf-e-pā kī ravānī
maiñ dasht-e-tamannā meñ akelā nahīñ utrā
koshish to mire zauq-e-tajassus ne bahut kī
lekin kisī chehre se bhī chehra nahīñ utrā
kachre se uThā.ī jo kisī tifl ne roTī
phir halq se mere koī luqma nahīñ utrā
sine mein jo hai dard ka dariya nahin utra
lekin meri ummid ka chehra nahin utra
anjaane mein ek bar koi bhul hui thi
ab tak mere ahbab ka ghussa nahin utra
sarmaya-e-jaan hath se jata raha lekin
is ‘ishq-e-junun-KHez ka qarza nahin utra
batlati hai ye naqsh-e-kaf-e-pa ki rawani
main dasht-e-tamanna mein akela nahin utra
koshish to mere zauq-e-tajassus ne bahut ki
lekin kisi chehre se bhi chehra nahin utra
kachre se uThai jo kisi tifl ne roTi
phir halq se mere koi luqma nahin utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.