sine mein koi aag ka gola hai ki dil hai
siine meñ koī aag kā golā hai ki dil hai
javvāla hai sho'la hai sharāra hai ki dil hai
yādoñ kā lagā mela jhamelā hai ki dil hai
ġhauġhā hai ki balva hai tamāsha hai ki dil hai
be-gor kafan lāshoñ kī tasvīreñ sajī haiñ
zindān hai maqtal hai kamelā hai ki dil hai
be-samt jo yādoñ ke uḌe jaate haiñ panchhī
tūfān hai āñdhī hai bagūla hai ki dil hai
TuuTī huī qabreñ haiñ to hasrat-zada katbe
āsār-e-qadīma kā ye naqsha hai ki dil hai
zanjīr-zanī hai to kahīñ marsiya-ḳhvānī
ye mātamī dasta hai janāza hai ki dil hai
suntā huuñ ki dil jaisī koī shai nahīñ mujh meñ
jab haath meñ rakhtā huuñ to lagtā hai ki dil hai
lagtā hī nahīñ 'shams' tire dil kā kahīñ mol
nākāra mashīnī koī purza hai ki dil hai
sine mein koi aag ka gola hai ki dil hai
jawwala hai sho'la hai sharara hai ki dil hai
yaadon ka laga mela jhamela hai ki dil hai
ghaugha hai ki balwa hai tamasha hai ki dil hai
be-gor kafan lashon ki taswiren saji hain
zindan hai maqtal hai kamela hai ki dil hai
be-samt jo yaadon ke uDe jate hain panchhi
tufan hai aandhi hai bagula hai ki dil hai
TuTi hui qabren hain to hasrat-zada katbe
aasar-e-qadima ka ye naqsha hai ki dil hai
zanjir-zani hai to kahin marsiya-KHwani
ye matami dasta hai janaza hai ki dil hai
sunta hun ki dil jaisi koi shai nahin mujh mein
jab hath mein rakhta hun to lagta hai ki dil hai
lagta hi nahin 'shams' tere dil ka kahin mol
nakara mashini koi purza hai ki dil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.