sine mein sulagte hain arman aankhon mein udasi chhai hai
siine meñ sulagte haiñ armāñ āñkhoñ meñ udāsī chhā.ī hai
ye aaj tirī duniyā se hameñ taqdīr kahāñ le aa.ī hai
kuchh aañkh meñ aañsū baaqī haiñ jo mere ġham ke sāthī haiñ
ab dil haiñ na dil ke armāñ haiñ bas maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
nā tujh se gila koī ham ko nā koī shikāyat duniyā se
do chaar qadam jab manzil thī qismat ne Thokar khaa.ī hai
kuchh aisī aag lagī man meñ jiine bhī na de marne bhī na de
chup huuñ to kaleja jaltā hai bolūñ to tirī rusvā.ī hai
sine mein sulagte hain arman aankhon mein udasi chhai hai
ye aaj teri duniya se hamein taqdir kahan le aai hai
kuchh aankh mein aansu baqi hain jo mere gham ke sathi hain
ab dil hain na dil ke arman hain bas main hun meri tanhai hai
na tujh se gila koi hum ko na koi shikayat duniya se
do chaar qadam jab manzil thi qismat ne Thokar khai hai
kuchh aisi aag lagi man mein jine bhi na de marne bhi na de
chup hun to kaleja jalta hai bolun to teri ruswai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.