sikhae waqt ne atwar sad hazar mujhe
sikhā.e vaqt ne atvār sad hazār mujhe
ki ab to choT bhī rahtī hai sāzgār mujhe
nikāl de mire dil se adā-o-nāz sabhī
bigaḌ gayā huuñ ġham-e-zindagī sañvār mujhe
maiñ tere paas ghaḌī do-ghaḌī kā mehmāñ huuñ
agarche vaqt kaḌā huuñ magar guzār mujhe
diyā jo haath mire haath meñ tū chupke se
thamā gayā hai koī dard be-shumār mujhe
yaqīñ bhī hai ki use lauT kar nahīñ aanā
magar hai shām-o-sahar phir bhī intizār mujhe
koī to hai pas-e-dīvār-o-dar nihāñ 'azmī'
pukārtā hai sar-e-shām baar baar mujhe
sikhae waqt ne atwar sad hazar mujhe
ki ab to choT bhi rahti hai sazgar mujhe
nikal de mere dil se ada-o-naz sabhi
bigaD gaya hun gham-e-zindagi sanwar mujhe
main tere pas ghaDi do-ghaDi ka mehman hun
agarche waqt kaDa hun magar guzar mujhe
diya jo hath mere hath mein tu chupke se
thama gaya hai koi dard be-shumar mujhe
yaqin bhi hai ki use lauT kar nahin aana
magar hai sham-o-sahar phir bhi intizar mujhe
koi to hai pas-e-diwar-o-dar nihan 'azmi'
pukarta hai sar-e-sham bar bar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.