sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki
sikhā.eñ dast-e-talab ko adā-e-bebākī
payām-e-zer-labī ko salā-e-ām kareñ
ġhulām rah chuke toḌeñ ye band-e-rusvā.ī
kuchh apne bāzu-e-mehnat kā ehtirām kareñ
zamīñ ko mil ke sañvāreñ misāl-e-rū-e-nigār
ruḳh-e-nigār se raushan charāġh-e-bām kareñ
phir uTh ke garm kareñ kārobār-e-zulf-o-junūñ
phir apne saath use bhī asīr-e-dām kareñ
mirī nigāh meñ hai arz-e-moscow 'majrūh'
vo sarzamīñ ki sitāre jise salām kareñ
sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki
payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen
ghulam rah chuke toDen ye band-e-ruswai
kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen
zamin ko mil ke sanwaren misal-e-ru-e-nigar
ruKH-e-nigar se raushan charagh-e-baam karen
phir uTh ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun
phir apne sath use bhi asir-e-dam karen
meri nigah mein hai arz-e-moscow 'majruh'
wo sarzamin ki sitare jise salam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.