silsila-jumbān-e-vahshat meñ na.ī tadbīr se
tauq mannat ke badalte haiñ mirī zanjīr se
aap le jaa.eñ unheñ yā dil ke TukḌe joḌ deñ
merī ḳhātir jam.a ho jaa.e kisī tadbīr se
naza.a meñ bhī kī ga.iiñ ham par bahut sī saḳhtiyāñ
saikḌoñ tūfāñ uThe āb-e-dam-e-shamshīr se
naza.a meñ haiñ paañv mere kū-e-jānāñ kī taraf
chāhtā huuñ maiñ pahuñch jā.ūñ kisī tadbīr se
ik nazar insāf se kiije zarā sū-e-'rashīd'
āshiqāna kyā ġhazal ab ho sake is piir se
silsila-jumban-e-wahshat mein nai tadbir se
tauq mannat ke badalte hain meri zanjir se
aap le jaen unhen ya dil ke TukDe joD den
meri KHatir jama ho jae kisi tadbir se
naza mein bhi ki gain hum par bahut si saKHtiyan
saikDon tufan uThe aab-e-dam-e-shamshir se
naza mein hain panw mere ku-e-jaanan ki taraf
chahta hun main pahunch jaun kisi tadbir se
ek nazar insaf se kije zara su-e-'rashid'
aashiqana kya ghazal ab ho sake is pir se
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-148 page-133)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.