silsile sab ruk gae dil hath se jata raha
silsile sab ruk ga.e dil haath se jaatā rahā
hijr kī dahlīz par ik dard lahrātā rahā
qalb kā dāman junūñ meñ bhī na chhoḌā 'aql ne
dhaḌkanoñ kī chaap sun kar mujh ko ḳhauf aatā rahā
mas.ala us kī anā kā thā ki shohrat kī talab
us kā har ehsān mujh par nekiyāñ Dhātā rahā
maiñ rahā be-ḳhvāb ḳhvāboñ ke tilismī jaal meñ
vo mirī nīñdeñ churā kar loriyāñ gaatā rahā
sabr kī takrār thī josh o junūn-e-ishq se
zindagī bhar dil mujhe maiñ dil ko samjhātā rahā
roz aa kar merī khiḌkī meñ mire bachpan kā chāñd
rakh ke sar ik niim kī Tahnī pe so jaatā rahā
hijr ke bādal chhaTe jab dhuup chamkī 'ishq kī
vasl ke āñgan meñ bhañvrā gul pe mañDlātā rahā
zindagī bebāk ho kar tujh se aage baḌh ga.ī
aur 'āzim' tū lakīroñ par hī itrātā rahā
silsile sab ruk gae dil hath se jata raha
hijr ki dahliz par ek dard lahraata raha
qalb ka daman junun mein bhi na chhoDa 'aql ne
dhaDkanon ki chap sun kar mujh ko KHauf aata raha
masala us ki ana ka tha ki shohrat ki talab
us ka har ehsan mujh par nekiyan Dhata raha
main raha be-KHwab KHwabon ke tilismi jal mein
wo meri ninden chura kar loriyan gata raha
sabr ki takrar thi josh o junun-e-ishq se
zindagi bhar dil mujhe main dil ko samjhata raha
roz aa kar meri khiDki mein mere bachpan ka chand
rakh ke sar ek nim ki Tahni pe so jata raha
hijr ke baadal chhaTe jab dhup chamki 'ishq ki
wasl ke aangan mein bhanwra gul pe manDlata raha
zindagi bebak ho kar tujh se aage baDh gai
aur 'azim' tu lakiron par hi itraata raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.