simaT aae hain ghar mein virane
simaT aa.e haiñ ghar meñ vīrāne
tū kidhar jā rahā hai dīvāne
dostī ab gale kā haar nahīñ
taar TuuTā bikhar ga.e daane
sub.h-dam apnī apnī raah lage
sham' ke jāñ-nisār parvāne
zindagī se nipaT rahā huuñ abhī
maut kyā hai mirī balā jaane
simaT aae hain ghar mein virane
tu kidhar ja raha hai diwane
dosti ab gale ka haar nahin
tar TuTa bikhar gae dane
subh-dam apni apni rah lage
sham' ke jaan-nisar parwane
zindagi se nipaT raha hun abhi
maut kya hai meri bala jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.