simTe rahe to dard ki tanhaiyan milin
simTe rahe to dard kī tanhā.iyāñ milīñ
jab khul ga.e to dahr kī rusvā.iyāñ milīñ
ḳhvāboñ ke ishtihār the dīvār-e-jism par
dil ko har ek moḌ pe be-ḳhvābiyāñ milīñ
hoñToñ ko chūmtī thiiñ munavvar ḳhamoshiyāñ
barfāb sī guphāoñ meñ sargoshiyāñ milīñ
dushvār rāstoñ pe to kuchh aur baat thī
yuuñ dil ko moḌ moḌ pe āsāniyāñ milīñ
jo haath apnā naam bhī likh kar na jī sakā
us haath ko hayāt kī sardāriyāñ milīñ
simTe rahe to dard ki tanhaiyan milin
jab khul gae to dahr ki ruswaiyan milin
KHwabon ke ishtihaar the diwar-e-jism par
dil ko har ek moD pe be-KHwabiyan milin
honTon ko chumti thin munawwar KHamoshiyan
barfab si guphaon mein sargoshiyan milin
dushwar raston pe to kuchh aur baat thi
yun dil ko moD moD pe aasaniyan milin
jo hath apna nam bhi likh kar na ji saka
us hath ko hayat ki sardariyan milin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.